Har Ek ShaKHs Pareshan-o-darba-dar Sa Lage
har ek shaKHs pareshan-o-darba-dar sa lage
ye shahr mujh ko to yaro koi bhanwar sa lage
ab us ke tarz-e-tajahul ko kya kahe koi
wo be-KHabar to nahin phir bhi be-KHabar sa lage
har ek gham ko KHushi ki tarah baratna hai
ye daur wo hai ki jina bhi ek hunar sa lage
nashat-e-sohbat-e-rindan bahut ghanimat hai
ki lamha lamha pur-ashob-o-pur-KHatar sa lage
kise KHabar hai ki duniya ka hashr kya hoga
kabhi kabhi to mujhe aadmi se Dar sa lage
wo tund waqt ki rau hai ki panw Tik na saken
har aadmi koi ukhDa hua shajar sa lage
jahan-e-nau ke mukammal singar ki KHatir
sadi sadi ka zamana bhi muKHtasar sa lage
(782) Peoples Rate This