Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_520048d07341515d09feaf2595339fd6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Ruh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe - Jaan Nisar Akhtar Poetry In English - Darsaal

Har Ek Ruh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe

har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe

ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe

pasand-e-KHatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se

ye dil ka dagh jo KHud bhi bhala lage hai mujhe

jo aansuon mein kabhi raat bhig jati hai

bahut qarib wo aawaz-e-pa lage hai mujhe

main so bhi jaun to kya meri band aankhon mein

tamam raat koi jhankta lage hai mujhe

main jab bhi us ke KHayalon mein kho sa jata hun

wo KHud bhi baat kare to bura lage hai mujhe

main sochta tha ki lauTunga ajnabi ki tarah

ye mera ganw to pahchanta lage hai mujhe

na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai

kabhi kabhi to baDa KHauf sa lage hai mujhe

bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajud

har ek fard koi saneha lage hai mujhe

ab ek aadh qadam ka hisab kya rakhiye

abhi talak to wahi fasla lage hai mujhe

hikayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai

zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Ruh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Har Ek Ruh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Har Ek Ruh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Har Ek Ruh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe in PDF.