Ashaar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain
ashaar mere yun to zamane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunane ke liye hain
ab ye bhi nahin Thik ki har dard miTa den
kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain
socho to baDi chiz hai tahzib badan ki
warna ye faqat aag bujhane ke liye hain
aankhon mein jo bhar loge to kanTon se chubhenge
ye KHwab to palkon pe sajaane ke liye hain
dekhun tere hathon ko to lagta hai tere hath
mandir mein faqat dip jalane ke liye hain
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
(1078) Peoples Rate This