Aankhen Chura Ke Humse Bahaar Aae Ye Nahin

aankhen chura ke hum se bahaar aae ye nahin

hisse mein apne sirf ghubar aae ye nahin

ku-e-gham-e-hayat mein sab umr kaT di

thoDa sa waqt wan bhi guzar aae ye nahin

KHud ishq qurb-e-jism bhi hai qurb-e-jaan ke sath

hum dur hi se un ko pukar aae ye nahin

aankhon mein dil khule hon to mausam ki qaid kya

fasl-e-bahaar hi mein bahaar aae ye nahin

ab kya karen ki husn jahan hai aziz hai

tere siwa kisi pe na pyar aae ye nahin

wadon ko KHun-e-dil se likho tab to baat hai

kaghaz pe qismaton ko sanwar aae ye nahin

kuchh roz aur kal ki murawwat mein kaT len

dil ko yaqin-e-wada-e-yar aae ye nahin

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhen Chura Ke Humse Bahaar Aae Ye Nahin In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Aankhen Chura Ke Humse Bahaar Aae Ye Nahin is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Aankhen Chura Ke Humse Bahaar Aae Ye Nahin for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Aankhen Chura Ke Humse Bahaar Aae Ye Nahin in PDF.