Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cefb12fa21715332a2dcccf74e0d5943, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Muddat Mein Wo Yaad Aae Hain - Jaan Nisar Akhtar Poetry In English - Darsaal

Aaj Muddat Mein Wo Yaad Aae Hain

aaj muddat mein wo yaad aae hain

dar o diwar pe kuchh sae hain

aabginon se na Takra pae

kohsaron se to Takrae hain

zindagi tere hawadis hum ko

kuchh na kuchh rah pe le aae hain

sang-rezon se KHazaf-paron se

kitne hire kabhi chun lae hain

itne mayus to haalat nahin

log kis waste ghabrae hain

un ki jaanib na kisi ne dekha

jo hamein dekh ke sharmae hain

(728) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Aaj Muddat Mein Wo Yaad Aae Hain In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Aaj Muddat Mein Wo Yaad Aae Hain is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Aaj Muddat Mein Wo Yaad Aae Hain for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Aaj Muddat Mein Wo Yaad Aae Hain in PDF.