Aae Kya Kya Yaad Nazar Jab PaDti In Dalanon Par

aae kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par

us ka kaghaz chipka dena ghar ke raushan-danon par

aaj bhi jaise shane par tum hath mere rakh deti ho

chalte chalte ruk jata hun sari ki dukanon par

barkha ki to baat hi chhoDo chanchal hai purwai bhi

jaane kis ka sabz dupaTTa phenk gai hai dhanon par

shahr ke tapte fuTpathon par ganw ke mausam sath chalen

buDhe bargad hath sa rakh den mere jalte shanon par

saste damon le to aate lekin dil tha bhar aaya

jaane kis ka nam khuda tha pital ke gul-danon par

us ka kya man-bhed bataun us ka kya andaz kahun

baat bhi meri sunna chahe hath bhi rakkhe kanon par

aur bhi sina kasne lagta aur kamar bal kha jati

jab bhi us ke panw phisalne lagte the Dhalwanon par

sher to un par likkhe lekin auron se mansub kiye

un ko kya kya ghussa aaya nazmon ke unwanon par

yaro apne ishq ke qisse yun bhi kam mashhur nahin

kal to shayad nowel likkhe jaen in rumanon par

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae Kya Kya Yaad Nazar Jab PaDti In Dalanon Par In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Aae Kya Kya Yaad Nazar Jab PaDti In Dalanon Par is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Aae Kya Kya Yaad Nazar Jab PaDti In Dalanon Par for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Aae Kya Kya Yaad Nazar Jab PaDti In Dalanon Par in PDF.