Tham Gae Ashk Bhi Barse Hue Baadal Ki Tarah
tham gae ashk bhi barse hue baadal ki tarah
dil ki betabi wahi aaj bhi hai kal ki tarah
main bhi hun ashk-fishan aap akele hi nahin
mera daman bhi hai nam aap ke aanchal ki tarah
jam-o-saghar hi pe mauquf nahin hai saqi
hum bhi gardish mein hain ek daur-e-musalsal ki tarah
intizar-e-shab-e-wada ki na puchho rudad
raat aankhon mein kaTi hai kisi bekal ki tarah
kisi ummid ka maskan na tamanna ka mahal
dil ki virani hai sunsan se jangal ki tarah
aap jal jae magar auron ko mahzuz kare
zindagi tum bhi guzaro yun hi sandal ki tarah
tere jalne se agar tirgi kam ho ai dil
tu bhi jal ja kisi jalti hui mashal ki tarah
lashen bikhri hain tamannaon ki armanon ki
qalb ka ganj-e-shahidan bhi hai maqtal ki tarah
(762) Peoples Rate This