Shikast-o-fath-e-muqabil Se Be-niyaz To Hai
shikast-o-fath-e-muqabil se be-niyaz to hai
ba-faiz-e-dar-o-rasan ishq sarfaraaz to hai
usi se niklenge naghmat-e-zindagi-parwar
shikasta hi wo sahi dil bhi ek saz to hai
hazar qismat-o-mahaul zimmedar sahi
meri tabahi se un ka bhi saz-baz to hai
ghurur-e-husn salamat magar ye kya kam hai
hamara dil bhi harif-e-nigah-e-naz to hai
hua hai fash jahan par zaban pe aae baghair
dil-o-nigah ke mabain koi raaz to hai
ata-e-baada ke inkar se ye bhed khula
ki mai-kashon mein tere pas imtiyaz to hai
mujhe talash-e-masarrat ki kya zarurat hai
KHushi ye kam nahin dil mera gham-nawaz to hai
nahin 'said' mere pas shaukat-e-alfaz
meri ghazal mein magar qalb ka gudaz to hai
(860) Peoples Rate This