Sahar Ka Nur Hai Taron Ka Inikas Nahin
sahar ka nur hai taron ka inikas nahin
fareb-KHurda ho tum ya ziya-shanas nahin
jabin-e-subh pe tahrir hai ye KHatt-e-jali
nae nizam mein tafriq-e-am-o-KHas nahin
ye kis wasuq se anwar-e-subh kahte hain
nai hayat se koi bhi wajh-e-yas nahin
ye aur baat hai dil KHun ho gaya gham se
nazar mein aap ki ab bhi koi udas nahin
wo aur honge jinhen zindagi ke aish mile
yahan to ek tabassum bhi hum ko ras nahin
fareb-o-kizb dariya se main be-talluq hun
ba-juz KHulus-o-wafa kuchh bhi mere pas nahin
'said' dost mile hain mujhe kuchh aise bhi
ki jin ko mehr-o-mohabbat ka koi pas nahin
(740) Peoples Rate This