Kuchh Yaad Nahin Usko Ki Kya Bhul Gaya Hai
kuchh yaad nahin us ko ki kya bhul gaya hai
dil jaise ki jine ki ada bhul gaya hai
mausam ke badalte hi mizaj us ka bhi badla
wo meri wafaon ka sila bhul gaya hai
main yaad hun jis shaKHs ko sine se lagae
wo shaKHs to ab nam mera bhul gaya hai
kanon pe hai bas ek sada ka teri pahra
har ek sada us ke siwa bhul gaya hai
bimar ko us samt nahin fikr-e-mudawa
us samt mualij bhi dawa bhul gaya hai
malum karen puchh ke kuchh us se sawalat
kya yaad hai us shaKHs ko kya bhul gaya hai
qirtas ne har ek amal kar liya mahfuz
mujrim hi magar apni KHata bhul gaya hai
padash mein aamal ki nazron se gira kar
lagta hai ki ab hum ko KHuda bhul gaya hai
ilzam na do tum nae shair ko 'said' aaj
jo surKHi-e-lab rang-e-hina bhul gaya hai
(1120) Peoples Rate This