KHushi Mili Na Agar Mujhko Zauq-e-gham To Mila
KHushi mili na agar mujh ko zauq-e-gham to mila
mili na daulat-e-duniya mujhe qalam to mila
KHushi mein KHush hun to gham mein bhi muskuraata hun
ki mujh ko zarf-e-pazirai-e-alam to mila
nahin hai kam kisi jamshed se meri taqdir
ba-shakl-e-qalb mujhe ek jam-e-jam to mila
ghalat hai umr kaTi meri sari kulfat mein
sukun zer-e-sama mujh ko ek-dam to mila
ye zindagi ke kaDe kos kis tarah kaTte
KHusha-nasib ki ek ham-safar sanam to mila
nahin hai manzil-e-maqsud ab ziyaada dur
sambhaal KHud ko qadam se mere qadam to mila
na kyun ho apne muqaddar pe naz mujh ko 'said'
ba-fazl-e-rab sharaf-e-bosa-e-haram to mila
(751) Peoples Rate This