Ahbab Mere Dard Se Kuchh Be-KHabar Na The
ahbab mere dard se kuchh be-KHabar na the
ye aur baat hai wo koi chaaragar na the
taqat thi jab badan mein to darwaza band tha
jab dar khula qafas ka mere baal-o-par na the
anjaan hum the rah se manzil bhi dur thi
achchha hua ki aap sharik-e-safar na the
is waste bhi mujh ko tera gham aziz hai
jitne bhi gham mile wo gham mo'atabar na the
tarik raat ka tha safar rah pur-KHatar
raushan kahin charagh sar-e-rahguzar na the
wo din bhi kya the dil mein tamanna na thi koi
takmil-e-arzu ke liye dar-ba-dar na the
sailab-o-zalzale mein hue kitne ghar tabah
wo log be-niyaz rahe jin ke ghar na the
kuchh log mil gae the yunhi rah mein mujhe
jo mere sath sath the wo ham-safar na the
sab ne mera kalam paDha lekin ai 'said'
jo mere naqidin the wo dida-war na the
(646) Peoples Rate This