Lamha Lamha Dastak De Kar TaDpata Hai Jaane Kaun
lamha lamha dastak de kar taDpata hai jaane kaun
raat gae man-darwaze par aa jata hai jaane kaun
apni sanson ki KHushbu ko ghol ke meri sanson mein
mera suna jiwan-angan mahkata hai jaane kaun
ek anjaane hath ko akasr shane par mahsus karun
mujh se dur hi rah kar mujh ko apnata hai jaane kaun
aankhen to parbat ke pichhe chhupte chand ko dekhen bas
us manzar ki oT mein lekin sharmata hai jaane kaun
dhup mein dasht-e-tanhai ki mere jalte honTon ko
lams apne gul-barg lab ka de jata hai jaane kaun
apne parae chhuT gae sab aas-khilaune TuT gae
phir bhi ziddi man-baalak ko bahlata hai jaane kaun
yaksan tewar yaksan chehre sab hi dukh dene wale
lekin is basti mein bhi ek sukh-data hai jaane kaun
(793) Peoples Rate This