KHayal-o-KHwab Ke Sab Rang Bhar Ke Dekhte Hain
KHayal-o-KHwab ke sab rang bhar ke dekhte hain
hum us ki yaad ko taswir kar ke dekhte hain
jahan jahan hain zamin par qadam-nishan us ke
har us jagah ko sitare utar ke dekhte hain
hawa hai tez sambhaalega in mein kitnon ko
shajar ka hausla patte shajar ke dekhte hain
use bhi shauq hai kuchh dhajjiyan uDane ka
kuchh apni wusaten hum bhi bikhar ke dekhte hain
idhar ke sukh ne to hijrat pe kar diya majbur
udhar hai kya chalo dariya utar ke dekhte hain
gae the chhoD ke hum jis jagah makan apna
nishan bas ab wahan diwar-o-dar ke dekhte hain
na yun miTa sake shayad hamein jo wo dildar
hai sang-dil to sar-e-sang ubhar ke dekhte hain
(629) Peoples Rate This