Band Kamre Mein Dam Na GhuT Jae
band kamre mein dam na ghuT jae
khiDkiyan khol do hawa aae
aa ke suraj saron pe baiTh gaya
chhup gae hain badan badan sae
itna dam to kisi diye mein nahin
kaun pagal hawa ko Thahrae
kya karen le ke aisi barish ko
rang phulon ka jis mein dhul jae
kabhi tujh ko bhi bhulna chahun
koi shaitan hai jo bahkae
dasht-e-jaan par baras rahe hain rang
ek aanchal faza mein lahrae
qaid zindan-e-KHamushi mein koi
KHud bhi taDpe mujhe bhi taDpae
(783) Peoples Rate This