Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b80f555bc29852ef862449d56cacaf4b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Junun Hi Asl Mein Sahra-parast Tha - Izhar Asar Poetry In English - Darsaal

Mera Junun Hi Asl Mein Sahra-parast Tha

mera junun hi asl mein sahra-parast tha

warna bahaar ka bhi yahan bandobast tha

aaya shuur-e-zist to ifsha hua ye raaz

tere kalam-e-fan ki main pahli shikast tha

auron ne kar liye the andheron se faisle

ek main hi sare shahr mein suraj-ba-dast tha

ek chiKHte sukut ne chaunka diya mujhe

main warna apne haal mein muddat se mast tha

aaina jab dikhaya to ye raaz bhi khula

jitna bhi jo buland tha utna hi past tha

taKHliq-e-kul ke lamha-e-awwal mein ai 'asar'

main zindagi ki pahli humak pahli jast tha

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Junun Hi Asl Mein Sahra-parast Tha In English By Famous Poet Izhar Asar. Mera Junun Hi Asl Mein Sahra-parast Tha is written by Izhar Asar. Read famous Poem Mera Junun Hi Asl Mein Sahra-parast Tha for youth and Student by Izhar Asar. Free Download Mera Junun Hi Asl Mein Sahra-parast Tha in PDF.