Gandhi Ke Baad
baad gandhi ke na sun hum ne saman dekha kya
fasl-e-gul aate hi har bagh-o-chaman ujDa kya
dil hi afsurda ho jab peshkash-e-sahba kya
aankh hi jab na rahe dawat-e-nazzara kya
zindagi maut se bad-tar ho to phir jina kya
bhuk se daman-e-hasti ko siye jate hain
zindagi chhin ke auron ke jiye jate hain
har-nafas ahd wafaon ke liye jate hain
KHun arzan hai gharibon ka piye jate hain
jab ye pine hi par aa jaen to phir dariya kya
husn bhi ghamza-o-andaz-o-ada bhul gaya
ishq bhi jalwa-e-rangin ki ziya bhul gaya
jo parastar-e-wafa tha wo wafa bhul gaya
rah sunte hain ki KHud rah-numa bhul gaya
karwan manzil-e-maqsud pe pahunchata kya
ye jo aai hai hamare hi lahu ki hai bahaar
ye jo uDta hai hamare hi dilon ka hai ghubar
barahman hai to koi aabid-e-shab-zinda-dar
koi sunta nahin is daur mein insan ki pukar
bazm-e-matam mein jo chheDe to koi naghma kya
KHirman-e-zulm ko ab aag laga de koi
chand-taron ke charaghon ko bujha de koi
aasmanon ko zaminon pe jhuka de koi
ja ke 'gandhi' ki ye sab haal suna de koi
zulm dhate hain ahinsa ke pujari kya kya
(1260) Peoples Rate This