UnT
laqq-o-daq sahra mein ya maidan mein
ya arab ke garm registan mein
saya-afgan hai na wan koi chaTan
sard pani ka na dariya ka nishan
chilchilati dhup hai aur chup hawa
wan parinda bhi nahin par marta
tu wahan ke marhale karta hai tai
din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai
qimti ashya hain teri pusht par
tajiron ka resham aur shahon ka zar
toda toda tere upar lad raha
hai bhara goya jahaz-e-pur-baha
chand hafte jab ki jate hain guzar
aur thaka deta hai rakib ko safar
unT! ghabraata nahin tu bar se
dekhta hai us ki jaanib pyar se
goya kahta hai ki ai mere sawar
ek din tu aur bhi himmat na haar
han na be-dil ho na raste mein ThiThak
saf sar-chashma hai aage dhar lapak
mujh ko aati hai hawa se bu-e-ab
na-umidi se na kar tu iztirab
unT tu karta hai us ki rahbari
yun bana deta hai rakib ko jari
aaKHirash manzil pe pahunchata hai tu
aur sukhe KHar-o-KHas khata hai tu
sabr se karta hai tai rah-e-daraaz
sach kaha hai tu hai KHushki ka jahaz
al-gharaz tu hai halim o KHush-KHisal
tarbiyat mein chhoTe bachchon ki misal
(3125) Peoples Rate This