ThoDa ThoDa Mil Kar Bahut Ho Jata Hai
banaya hai chiDiyon ne jo ghonsla
so ek ek tinka ikaTTha kiya
gaya ek hi bar suraj na Dub
magar rafta rafta hua hai ghurub
qadam hi qadam tai hua hai safar
gain lahze lahze mein umren guzar
samundar ki lahron ka tanta sada
kinare se hai aa ke Takra raha
samundar se dariya se uThti hai mauj
sada karti rahti hai dhawa ye fauj
kararun ko aaKHir gira hi diya
chaTanon ko bilkul safa-chaT kiya
barasta jo meinh musla-dhaar hai
so ye nannhi bundon ki bauchhaar hai
daraKHton ke jhunD aur jangal ghane
yunhi patte pate se mil kar bane
hue reshe reshe se ban aur jhaD
bana zarre zarre se mil kar pahaD
laga dane dane se ghalle ka Dher
paDa lamhe lamhe se barson ka pher
jo ek ek pal kar ke din kaT gaya
to ghaDiyon hi ghaDiyon baras ghaT gaya
likha likhne wale ne ek ek harf
huin gaDDiyan kitni kaghaz ki sarf
hui likhte likhte murattab kitab
isi par har ek shai ka samjho hisab
har ek ilm-o-fan aur kartab hunar
na tha pahle hi din se is Dhang par
yunhi baDhte baDhte taraqqi hui
jo neza hai ab tha wo pahle sui
julahe ne joDa tha ek ek tar
hue than jis ke gazon se shumar
yunhi phuiyon phuiyon bhare jhil tal
yunhi kauDi kauDi hua jama mal
agar thoDa thoDa karo subh o sham
baDe se baDa kaam bhi ho tamam
(4835) Peoples Rate This