Sach Kaho
sach kaho sach kaho hamesha sach
hai bhale-manason ka pesha sach
sach kahoge to tum rahoge aziz
sach to ye hai ki sach hai achchhi chiz
sach kahoge to tum rahoge shad
fikr se pak ranj se aazad
sach kahoge tum rahoge diler
jaise Darta nahin dilawar sher
sach se rahti hai taqwiyat dil ko
sahl karta hai saKHt mushkil ko
sach hai sare muamalon ki jaan
sach se rahta hai dil ko itminan
sach mein rahat hai aur aasani
sach se hoti nahin pashemani
sach hai duniya mein nekiyon ki jaD
sach na ho to jahan jae ujaD
sach kahoge to dil rahega saf
sach kara dega sab qusur muaf
sach se zinhaar dar-guzar na karo
dil mein kuchh KHauf aur KHatar na karo
jis ko sach bolne ki aadat hai
wo baDa nek ba-saadat hai
wahi dana hai jo ki hai sachcha
is mein buDDha ho ya koi sachcha
hai bura jhuT bolne wala
aap karta hai apna munh kala
faeda us ko kuchh na dega jhuT
jaega ek roz bhanDa phuT
jhuT ki bhul kar na Dalo KHu
jhuT zillat ki baat hai aaKH-thu
(4086) Peoples Rate This