Raat
gaya din hui sham aai hai raat
KHuda ne ajab shai banai hai raat
na ho raat to din ki pahchan kya
uThae maza din ka insan kya
hui raat KHilqat chhuTi kaam se
KHamoshi si chhai sar-e-sham se
lage hone ab hot bazar band
zamane ke sab kar behwar band
musafir ne din bhar kiya hai safar
sar-e-sham manzil pe kholi kamar
daraKHton ke patte bhi chup ho gae
hawa tham gai peD bhi so gae
andhera ujale pe ghaalib hua
har ek shaKHs rahat ka talib hua
hue raushan aabaadiyon mein charagh
hua sab ko mehnat se hasil faragh
kisan ab chala khet ko chhoD kar
ki ghar mein kare chain se shab basar
gharib aadmi jo ki mazdur hain
mashaqqat se jin ke badan chur hain
wo din bhar ki mehnat ke mare hue
wo mande thake aur haare hue
nihayat KHushi se gae apne ghar
hue baal bachche bhi KHush dekh kar
gae bhul sab kaam-dhandhe ka gham
sawere ko uTThenge ab taza-dam
kahan chain ye baadshah ko nasib
ki jis be-ghami se hain sote gharib
(3915) Peoples Rate This