Qaus-e-quzah
thi sham qarib aur dahqan
maidan mein tha galle ka nigahban
dekhi us ne kaman nagah
jo karti hai meinh se hum ko aagah
rangat mein use ajib paya
zahir mein bahut qarib paya
pahle se wo sun chuka tha akasr
hai qaus mein ek piyala-e-zar
mashhur bahut hai ye kahani
afsana-tarash ki zabani
milti hai jahan kaman zamin se
milta hai wo jam-e-zar wahin se
socha lo jam aur banu jam
chhoDo buzu go safand ka gham
behuda ganwar is guman par
sidha gaya tir sa kaman par
din ghaTne laga qadam baDhaya
ummid ki ab KHazana paya
jitni koshish ziyaada-tar ki
utni hi kaman pare ko sarki
pinhan hui qaus aaKHir-e-kar
aur zulmat-e-shab hui numudar
nakaam phir wo sada dahqan
hasrat-zada gham-zada pasheman
(2253) Peoples Rate This