Kachhwa Aur KHargosh
ek kachhwe ke aa gai ji mein
kijiye sair o gasht KHushki ki
ja raha tha chala hua KHamosh
us se nahaq ulajh paDa KHargosh
miyan kachhwe! tumhaari chaal hai ye
ya koi shamat aur wabaal hai ye
yun qadam phunk phunk dharte ho
goya uttu zamin pe dharte ho
kyun hue chal ke muft mein bad-nam
be-chale kya aTak raha tha kaam
tum ko ye hausla na karna tha
chullu pani mein Dub marna tha
ye tan-o-tosh aur ye raftar
aisi raftar par KHuda ki mar
bola kachhwa ki hon KHafa na huzur
main to hun aap mo'tarif ba-qusur
agar aahistagi hai jurm-o-gunah
to main KHud apne jurm ka hun gawah
mujh ko jo saKHt sust farmaya
aap ne sab durust farmaya
mujh ko ghafil magar na jaaniyega
banda-parwar bura na maniyega
yun zabani jawab to kya dun
shart bad kar chalo to dikhla dun
tum to ho aaftab mein zarra
par miTa dunga aap ka ghurra
sun ke KHargosh ne ye talKH jawab
kaha kachhwe se yun zi-ru-e-itab
tu kare meri ham-sari ka KHayal
teri ye tab ye sakat ye majal
chyunTi ke jo par nikal aae
to yaqin hai ki ab ajal aae
are bebak! bad-zaban munh-phaT
tu ne dekhi kahan hai dauD jhapaT
jab main tezi se jast karta hun
shahsawaron ko past karta hun
gard ko meri baad-e-pa na lage
lakh dauDe mera pata na lage
rail hun barq hun chhalawa hun
main chhalawe ka balki bawa hun
teri meri nibhegi sohbat kya
aasman ko zamin se nisbat kya
jis ne bhugte hon turki o tazi
aaise mariyal se kya bade bazi
baat ko ab ziyaada kya dun tul
KHair karta hun teri shart qubul
hai munasib ki imtihan ho jae
taki aib o hunar ayan ho jae
al-gharaz ek maqam Thahra kar
hue donon harif garm-e-safar
bas-ki zoron pe tha chaDha KHargosh
tezi phurti se yun baDha KHargosh
jis tarah jae top ka gola
ya gire aasaman se ola
ek do khet chaukDi bhar ke
apni chusti pe aafrin kar ke
kisi goshe mein so gaya ja kar
fikr kya hai chalenge susta kar
aur kachhwa gharib aahista
chala sine ko KHak par ghista
sui ghanTe ki jaise chalti hai
ya ba-tadrij chhanw Dhalti hai
yunhi chalta raha ba-istiqlal
na kiya kuchh idhar udhar ka KHayal
kaam karta raha jo pai-dar-pai
kar gaya rafta rafta manzil tai
haif KHargosh rah gaya sota
samra ghaflat ka aur kya hota
jab khuli aankh to sawera tha
saKHt sharmindagi ne ghera tha
sabr o mohabbat mein hai sar-afraazi
sust kachhwe ne jit li bazi
nahin qissa ye dil-lagi ke liye
balki ibrat hai aadmi ke liye
hai suKHan is hijab mein ru-posh
warna kachhwa kahan kahan KHargosh
(2113) Peoples Rate This