Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cdfc0f1470b35174d6e785c019c99179, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamari Gay - Ismail Merathi Poetry In English - Darsaal

Hamari Gay

rab ka shukr ada kar bhai

jis ne hamari gay banai

us malik ko kyun na pukaren

jis ne pilain dudh ki dhaaren

KHak ko us ne sabza banaya

sabze ko phir gay ne khaya

kal jo ghas chari thi ban mein

dudh bani ab gay ke than mein

subhan-allah dudh hai kaisa

taza garm safed aur miTha

dudh mein bhigi roTi meri

us ke karam ne baKHshi seri

dudh dahi aur miTha maska

de na KHuda to kis ke bas ka

gay ko di kya achchhi surat

KHubi ki hai goya murat

dana dunka bhusi chokar

kha leti hai sab KHush ho kar

kha kar tinke aur ThaThre

dudh hai deti sham sawere

kya hi gharib aur kaisi pyari

subh hui jangal ko sidhaari

sabze se maidan hara hai

jhil mein pani saf bhara hai

pani maujen mar raha hai

charwaha chumkar raha hai

pani pi kar chaara char kar

sham ko aai apne ghar par

duri mein jo din hai kaTa

bachche ko kis pyar se chaTa

gay hamare haq mein hai neamat

dudh hai deti kha ke banaspat

bachhDe us ke bail banae

jo kheti ke kaam mein aae

rab ki hamd-o-sana kar bhai

jis ne aisi gay banai

(4788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Gay In English By Famous Poet Ismail Merathi. Hamari Gay is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Hamari Gay for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Hamari Gay in PDF.