Ek Pauda Aur Ghas
ittifaqan ek pauda aur ghas
bagh mein donon khaDe hain pas pas
ghas kahti hai ki ai mere rafiq
kya anokha is jahan ka hai tariq
hai hamari aur tumhaari ek zat
ek qudarat se hai donon ki hayat
miTTi aur pani hawa aur raushni
waste donon ke yaksan hai bani
tujh pe lekin hai inayat ki nazar
phenk dete hain mujhe jaD khod kar
sar uThane ki mujhe fursat nahin
aur hawa khane ki bhi ruKHsat nahin
kaun deta hai mujhe yan phailne
kha liya ghoDe gadhe ya bail ne
tujh pe munh Dale jo koi jaanwar
us ki li jati hai DanDe se KHabar
ole pale se bachate hain tujhe
kya hi izzat se baDhate hain tujhe
chahte hain tujh ko sab karte hain pyar
kuchh pata us ka bata ai dost-dar
us se paude ne kaha yun sar hila
ghas sab sachcha hai tera ye gila
mujh mein aur tujh mein nahin kuchh bhi tamiz
sirf saya aur mewa hai aziz
faeda ek roz mujh se paenge
sae mein baiThenge aur phal khaenge
hai yahan izzat ka sahra us ke sar
jis se pahunche nafa sab ko besh-tar
(1744) Peoples Rate This