Dal Ki Fariyaad
ek laDki baghaarti hai dal
dal karti hai arz yun ahwal
ek din tha hari-bhari thi main
sari aafat se bari thi main
tha hara khet mera gahwara
wo watan tha mujhe bahut pyara
pani pi pi ke thi main lahraati
dhup leti kabhi hawa khati
meinh barasta tha jhonke aate the
godiyon mein mujhe khilate the
yahi suraj zamin the man bawa
mujh se karte the nek bartawa
jab kiya mujh ko pal-pos baDa
aah zalim kisan aan paDa
gai taqdir yak-ba-yak jo palaT
khet ka khet kar diya talpaT
KHub luTa dhaDi dhaDi kar ke
mujh ko gaunon mein le gae bhar ke
ho gai dam ke dam mein barbaadi
chhin gai hae meri aazadi!
kya bataun kahan kahan khincha
dal-manDi mein mujh ko ja becha
ek zalim se wan paDa pala
jis ne chakki mein mujh ko dal Dala
hua taqdir ka likha pura
donon paTon ne kar diya chura
na suni meri aah aur zari
KHub baniye ne ki KHaridari
chhana chhalni mein chhaj mein phaTka
qaid-KHana mera bana maTka
phir muqaddar mujhe yahan laya
tum ne to aur bhi ghazab Dhaya
khaal khinchi alag kiye chhilke
zaKHm kyun-kar hare na hon dil ke
Dalin marchen namak lagaya KHub
rakh ke chulhe pe ji jalaya KHub
us pe kaf-gir ke bhi Thoke hain
aur naKHun ke bhi kachoke hain
mere galne ki le rahi ho KHabar
dant hai aap ka mere upar
garm ghi kar ke mujh ko dagh diya
hae tum ne bhi kuchh na rahm kiya
hath dho kar paDi ho pichhe tum
jaan par aa bani hawas hain gum
achchhi bi-bi tumhin karo insaf
zulm hai ya nahin qusur-muaf
kaha laDki ne meri pyari dal
mujh ko malum hai tera sab haal
tu agar khet se nahin aati
KHak mein mil ke KHak ho jati
ya koi gae bhains char leti
peT mein apne tujh ko bhar leti
main to rutba tera baDhati hun
ab chapati se tujh ko khati hun
na satana na ji jalana tha
yun tujhe aadmi banana tha
agli biti ka tu na kar kuchh gham
mehrbani thi sab, na tha ye sitam
(2899) Peoples Rate This