Shafaq
shafaq phulne ki bhi dekho bahaar
hawa mein khila hai ajab lala-zar
hui sham baadal badalte hain rang
jinhen dekh kar aql hoti hai dang
naya rang hai aur naya rup hai
har ek rup mein ye wahi dhup hai
tabiat hai baadal ki rangat pe loT
sunahri lagai hai qudrat ne goT
zara dair mein rang badle kai
banafshi o naranji o champai
ye kya bhed hai kya karamat hai
har ek rang mein ek nai baat hai
ye maghrib mein jo baadalon ki hai baD
bane sone chandni ke goya pahaD
falak nil-gun is mein surKHi ki lag
hare ban mein goya laga di hai aag
ab aasar zahir hue raat ke
ki parde chhaTe lal banat ke
(2301) Peoples Rate This