Barish Ka Pahla Qatra

ghanghor ghaTa tuli khaDi thi

par bund abhi nahin paDi thi

har qatra ke dil mein tha ye KHatra

nachiz hun main gharib qatra

tar mujh se kisi ka lab na hoga

main aur ki gun na aap joga

kya khet ki main bujhaunga pyas

apna hi karunga satyanas

KHali hathon se kya saKHawat

phiki baaton mein kya halawat

kis birte pe main karun dileri

main kaun hun kya bisat meri

har qatra ke dil mein tha yahi gham

sargoshiyan ho rahi thin baham

khichDi si ghaTa mein pak rahi thi

kuchh kuchh bijli chamak rahi thi

ek qatra ki tha baDa dilawar

himmat ke muhit ka shanawar

faiyyaz o jawwad o nek-niyyat

bhaDki us ki rag-e-hamiyyat

bola lalkar kar ki aao!

mere pichhe qadam baDhao

kar guzro jo ho sake kuchh ehsan

Dalo murda zamin mein jaan

yaro! ye hachar-machar kahan tak

apni si karo bane jahan tak

mil kar jo karoge jaan-fishani

maidan pe pher doge pani

kahta hun ye sab se barmala main

aate ho to aao lo chala main

ye kah ke wo ho gaya rawana

dushwar hai ji pe khel jaana

har-chand ki tha wo be-bizaat

ki us ne magar baDi shujaat

dekhi jurat jo us sakhi ki

do-chaar ne aur pairwi ki

phir ek ke baad ek lapka

qatra qatra zamin pe Tapka

aaKHir qatron ka bandh gaya tar

barish lagi hone mosla-dhaar

pani pani hua bayaban

sairab hue chaman KHayaban

thi qaht se paemal KHilqat

is meinh se hui nihaal KHilqat

jurat qatra ki kar gai kaam

baqi hai jahan mein aaj tak nam

ai sahibo! qaum ki KHabar lo

qatron ka sa ittifaq kar lo

qatron hi se hogi nahr jari

chal niklengi kashtiyan tumhaari

(4719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barish Ka Pahla Qatra In English By Famous Poet Ismail Merathi. Barish Ka Pahla Qatra is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Barish Ka Pahla Qatra for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Barish Ka Pahla Qatra in PDF.