Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff1364cfff955be530fcd84e7e9461f5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka - Ismail Merathi Poetry In English - Darsaal

Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka

wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka

ajab ki banda na dawa kare KHudai ka

mile jo rutba tere dar ki jabah-sai ka

to ek silsila ho shahi-o-gadai ka

nahin hai faiz mein KHissat wa-lek paida hai

tafawut aaina-o-sang mein safai ka

yahan jo ishq hai betab-e-jalwa-e-didar

wahan bhi husn muharrik hai KHud-numai ka

buton ke samne but-gar ghise jabin-e-niyaz

main shefta hun teri shan-e-kibriyai ka

na kar kisi ki burai na ban bhale se bura

bhala bhala hai bura kaam hai burai ka

banaen bigDi hui ko to ek baat bhi hai

bigaDna nahin mushkil bani-banai ka

uTha hijab to bas din-o-dil diye hi bani

janab-e-shaiKH ko dawa tha parsai ka

tumhaare dil se kudurat miTae to jaanen

khula hai shahr mein ek mahkama safai ka

hawas hai gar sar-o-saman ke jama karne ki

talash kar sar-o-saman be-nawai ka

siwae ishq nahin koi rahbar-e-chaalak

wahan KHirad ko nahin hausla rasai ka

usi ka wasf hai maqsud sher-KHwani se

usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka

nahin hai ab ke zamane ki ye rawish zinhaar

main yaadgar hun 'KHaqani'-o-'sanai' ka

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka In English By Famous Poet Ismail Merathi. Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka in PDF.