UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai
ulTi har ek rasm-e-jahan-e-shuur hai
sidhi si ek ghazal mujhe likhni zarur hai
wahdat mein e'tibar-e-hudus-o-qidam nahin
tha jo butun mein ye wahi to zuhur hai
tarik wahi hai jis ne kiya kal ko iKHtiyar
yani haris-tar hai wahi jo subur hai
mutlaq yagangi hai to nazdik-o-dur kya
pahuncha hai jo qarib wahi dur dur hai
asl-e-hayat hai yahi kahte hain jis ko maut
jine ki aarzu hai to marna zarur hai
iqrar-e-bandagi hai KHudai ka iddaa
ijz-o-niyaz kya hai kamal-e-ghurur hai
ummid kijiye agar ummid kuchh nahin
gham khaiye bahut jo KHayal-e-surur hai
zulf-e-siyah se ruKH-e-taban ka husn hai
kahte ho jis ko dew haqiqat mein hur hai
be-masiyat KHazana-e-rahmat hai raegan
sach puchhiye to jurm na karna qusur hai
izhaar-e-jaan-e-pak hai jism-e-kasif se
be-pardagi hijab hai zulmat hi nur hai
bilittifaq hasti-e-wahmi hai niyyati
hushiyar hai jo nashsha-e-ghaflat mein chur hai
aala tha jis ka rutba wo asfal mein hai asir
saff-e-naal moqif-e-sadrussudur hai
hai rah ki talash to kar gumrahi talab
aaqil wahi hai aql mein jis ki futur hai
bedari-e-wajud hai KHwab-e-adam mein gharq
lab band ho gae yahi shor-e-nushur hai
har chand shaghl-e-sher nahin aaj-kal zarur
nazrana pir ji ke liye kuchh zarur hai
(894) Peoples Rate This