Tarif Us KHuda Ki Jis Ne Jahan Banaya
tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya
kaisi zamin banai kya aasman banaya
panw tale bichhaya kya KHub farsh-e-KHaki
aur sar pe lajawrdi ek saeban banaya
miTTi se bel-buTe kya KHushnuma ugae
pahna ke sabz KHilat un ko jawan banaya
KHush-rang aur KHushbu gul phul hain khilae
is KHak ke khanDar ko kya gulistan banaya
mewe lagae kya kya KHush-zaeqa rasile
chakhne se jin ke mujh ko shirin-dahan banaya
suraj bana ke tu ne raunaq jahan ko baKHshi
rahne ko ye hamare achchha makan banaya
pyasi zamin ke munh mein meinh ka chuwaya pani
aur baadalon ko tu ne meinh ka nishan banaya
ye pyari pyari chiDiyan phirti hain jo chahakti
qudrat ne teri un ko tasbih-KHwan banaya
tinke uTha uTha kar lain kahan kahan se
kis KHub-surati se phir aashiyan banaya
unchi uDen hawa mein bachchon ko par na bhulen
in be-paron ka un ko rozi-rasan banaya
kya dudh dene wali gaen banain tu ne
chaDhne ko mere ghoDa kya KHush-inan banaya
rahmat se teri kya kya hain nematen mayassar
in nematon ka mujh ko hai qadr-dan banaya
aab-e-rawan ke andar machhli banai tu ne
machhli ke tairne ko aab-e-rawan banaya
har chiz se hai teri karigari Tapakti
ye karKHana tu ne kab raegan banaya
(4490) Peoples Rate This