Tabligh-e-payam Ho Gai Hai
tabligh-e-payam ho gai hai
hujjat bhi tamam ho gai hai
jab mauj-e-saba udhar se aai
tafrih-e-masham ho gai hai
kitni bodi hai tab-e-insan
aadat ki ghulam ho gai hai
KHwahish ki thi aadmi ko lazim
baDh kar ilzam ho gai hai
tamhid-e-payam hi mein apni
taqrir tamam ho gai hai
bachna ki waba-e-sohbat-e-bad
is daur mein aam ho gai hai
halqe mein qalandaron ke aa kar
tahqiq tamam ho gai hai
jarga mein loqandaron ke ja kar
hikmat badnam ho gai hai
shirin-dahanon ki tarz-e-guftar
maqbul-e-anam ho gai hai
beja bhi nikal gai hai jo baat
tahsin-e-kalam ho gai hai
namard ke hath mein pahunch kar
shamshir niyam ho gai hai
takfir-e-biradaran-e-din bhi
shart-e-islam ho gai hai
kya sher kahen ki shaeri ki
turki hi tamam ho gai hai
(848) Peoples Rate This