Shab-e-zindagani Sahar Ho Gai
shab-e-zindagani sahar ho gai
bahr-kaif achchhi basar ho gai
na samjhe ki shab kyun sahar ho gai
idhar ki zamin sab udhar ho gai
zamane ki bigDi kuchh aisi hawa
ki be-ghairati bhi hunar ho gai
amaid ne ki waza jo iKHtiyar
wahi sab ko madd-e-nazar ho gai
gae jo nikal dam-e-tazwir se
hazimat hi in ki zafar ho gai
zamin munqalib aasman charKH-zan
iqamat bhi hum ko safar ho gai
miTa Daliye lauh-e-dil se ghubar
kisi se KHata bhi agar ho gai
ba-rah-e-karam us ko tai kijiye
jo an-ban kisi baat par ho gai
na karna tha bizzid madawa-e-gham
baDi chuk ai chaara-gar ho gai
ye hangama-ara hain sab be-KHabar
wo chup hain jinhen kuchh KHabar ho gai
(876) Peoples Rate This