Rah-o-rasm-e-KHat-kitabat Hi Sahi
rah-o-rasm-e-KHat-kitabat hi sahi
gul nahin to gul ki nikhat hi sahi
dil-lagi ka koi saman chahiye
qaht-e-mani ho to surat hi sahi
be-dimaghi banda-parwar is qadar
aap ki sab par hukumat hi sahi
dosti ka main ne kab dawa kiya
dur ki sahab salamat hi sahi
bas-ki zikr-ul-aish nisf-ul-aish hai
yaad-e-ayyam-e-faraghat hi sahi
waqt milne ka muayyan kijiye
KHwah farda-e-qayamat hi sahi
husn-e-surat ka na kha aslan fareb
kilk-e-sanat-gar ki sanat hi sahi
kuchh na karna bhi magar ek kaam hai
gar nahin sohbat to uzlat hi sahi
(857) Peoples Rate This