Nikle Chale Aate Hain Tah-e-KHak Se Khane
nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane
ye KHwan-e-karam kis ne bichhaya hai KHuda ne
jo dil mein hai munh phoD ke barwar nahin kahte
mara mujhe yaron ki durust aur baja ne
ghaflat mein hain sar-mast badalte nahin karwaT
go sar pe uTha li hai zamin shor-e-dara ne
israf ne arbab-e-tamawwul ko Duboya
aalim ko tafaKHur ne to zahid ko riya ne
mard us ko samajhte na kiya ho jise badmast
ayyam-e-jawani ki mai-e-hosh-ruba ne
ba-in-hama darmandagi insan ke ye dawe
kya zat-e-sharif in ko banaya hai KHuda ne
jalwat ka bharosa hai na KHalwat ki tawaqqo
sab wahm tha yaron ne jo take the Thikane
(837) Peoples Rate This