Nikhat-e-turra-e-mushkin Jo Saba Lai Hai
nikhat-e-turra-e-mushkin jo saba lai hai
koi aawara hua hai koi saudai hai
be-KHudi se hai yahan be-KHabari ka aalam
KHud-numai ko wahan shaghl-e-KHud-arai hai
apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin
ghaur se dekh agar aankh mein binai hai
hai mujhe kashmakash-e-sai-o-talab se nafrat
dil mera tark-e-tamanna ka tamannai hai
juz dil-e-pak na paya haram-e-KHas kahin
dair-o-kaba mein abas nasiya-farsai hai
naz ki jalwagari ke liye manzar hai niyaz
na-tawani meri ham-rang-e-tawanai hai
jab tabiat hi na hazir ho to be-sud hai fikr
sher-goi to kahan qafiya-paimai hai
munh pe laun to ye kam-zarf bahak jaen abhi
baat jo pir-e-KHarabaat ne samjhai hai
KHud munadi o munada hun na ghaibat na huzur
aalam-e-ghaib se yun dil mein nida aai hai
dil ye kahta hai ki hasil ki hai tahsil abas
na tamanna koi shai hai na tamannai hai
(1051) Peoples Rate This