Manzil Daraaz-o-dur Hai Aur Hum Mein Dam Nahin
manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin
hun rail par sawar to dam-o-diram nahin
maidan-e-zindagi mein karen dauD-dhup kiya
hum aise na-tawan hain ki uThta qadam nahin
kya KHub hath panw KHuda ne ata kiye
chalte rahen to hajat KHil-o-KHadam nahin
aghyar kyun daKHil hain bazm-e-surur mein
mana ki yar kam hain par itne to kam nahin
jab tak hai ishq-o-ashiq-o-mashuq mein tamiz
khulta kisi pe raaz-e-hadus-o-qidam nahin
aadam pe mo'tariz hon farishte to kya ajab
chakhi hanuz chashni-e-zahr-e-gham nahin
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin
tu hi nahin hai ramz-e-mohabbat se aashna
warna dayar-e-husn mein rasm-e-sitam nahin
irshad-e-taba ki na agar pairwi kare
naqqashi-e-KHayal majal-e-qalam nahin
sar hi ke bal gae hain sada rahrawan-e-ishq
hairat-zada na ban ki nishan-e-qadam nahin
kaisi talab kahan ki talab kis liye talab
hum hain to wo nahin hai jo wo hai to hum nahin
(903) Peoples Rate This