Kabhi Taqsir Jis Ne Ki Hi Nahin
kabhi taqsir jis ne ki hi nahin
hum se puchho to aadmi hi nahin
mar chuke jite-ji KHusha qismat
is se achchhi to zindagi hi nahin
dosti aur kisi gharaz ke liye
wo tijarat hai dosti hi nahin
ya wafa hi na thi zamane mein
ya magar doston ne ki hi nahin
kuchh meri baat kimiya to na thi
aisi bigDi ki phir bani hi nahin
jis KHushi ko na ho qayam-o-dawam
gham se bad-tar hai wo KHushi hi nahin
bandagi ka shuur hai jab tak
banda-parwar wo bandagi hi nahin
ek do ghunT jam-e-wahdat ke
jo na pi le wo muttaqi hi nahin
ki hai zahid ne aap duniya tark
ya muqaddar mein us ke thi hi nahin
(898) Peoples Rate This