Jahan Tegh-e-himmat Alam Dekhte Hain
jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain
mahaalat ka sar qalam dekhte hain
jo baiThe the yan pa-ba-daman-e-hasti
unhen sar-ba-jeb-e-adam dekhte hain
kamalat-e-sanea pe jin ki nazar hai
wo KHubi-e-masnua kam dekhte hain
nahin mubtala jo tan-asaniyon mein
unhen dam-ba-dam taza-dam dekhte hain
nahin jin ko jah-o-hasham ka takabbur
wahi lutf-e-jah-o-hasham dekhte hain
shikam-parwari jin ka shewa hai un ko
asir-e-jafa-e-shikam dekhte hain
bas ai rang-o-bu tu na kar naz be-ja
KHuda jaane kya baat hum dekhte hain
uDate hain jo raKHsh-e-himmat ko sarpaT
wo manzil ko zer-e-qadam dekhte hain
(727) Peoples Rate This