Hamid Kahan Ki DauD Ke Jaun KHabar Ko Main
hamid kahan ki dauD ke jaun KHabar ko main
kis aarzu pe qata karun is safar ko main
mana buri KHabar hai pa teri KHabar to hai
sabr-o-qarar nazr karun nama-bar ko main
ye sang-o-KHisht aah dilate hain teri yaad
rota hun dekh dekh ke diwar-o-dar ko main
hai teri shakl ya teri aawaz ka KHayal
karta hun iltifat yakayak jidhar ko main
afsos hae hae ki aati nahin sada
puchhe to kya bataun tere chaara-gar ko main
kya ho gaya ise ki tujhe dekhti nahin
ji chahta hai aag laga dun nazar ko main
achchha jo tu ne gosha-e-marqad kiya pasand
ab apne haq mein gor banaunga ghar ko main
tere sar-e-aziz ki baalish ho KHak se
baalin-e-gham se ab na uThaunga sar ko main
dekhi na thi bahaar abhi tere shabab ki
bhula na tha abhi tere ahd-e-sighar ko main
taqdir hi ne hae na ki kuchh musaidat
kya roun ab dua-o-dawa ke asar ko main
hukm-e-KHuda yahi tha ki baiTha kiya karun
matam mein tere ashk-fishan chashm-e-tar ko main
juz dard-o-dagh tu ne na chhoDa nishan haif
rakhunga mehman inhen umr bhar ko main
kar ne do aah-o-nala ki aaKHir rahunga baiTh
taslim kar ke hukm-e-qaza-o-qadar ko main
kya fikr-e-ab-o-nan ki gham kah raha hai ab
maujud hun ziyafat-e-dil aur jigar ko main
tujh ko jawar-e-rahmat-e-haq mein jagah mile
manga karunga ab ye dua har sehr ko mein
habs-e-dawam to nahin duniya ki mar rahun
kahe ko ghar KHayal karun rahguzar ko main
KHud hum se bhi zyaada ho jo hum pe mehrban
wo jam-e-zahr de to na chakhun shakar ko main
wo jaane aur us ki raza jo pasand ho
sab kaam saunpta hun usi dad-gar ko main
hota na dil mein dard to karta na hae hae
deta na tul yun suKHan-e-muKHtasar ko main
(811) Peoples Rate This