Abr Baadal Hai Aur Sahab GhaTa
abr baadal hai aur sahab ghaTa
jis ki hum dekhte hain aaj bahaar
kis ko baran ne tazgi baKHshi
zara kheti hai aur daraKHt ashjar
kaun si ja hai sair ke qabil
bagh rauza hadiqa aur gulzar
ab gharibon ko ho gai taskin
jo ki lete the qarz-o-wam udhaar
qaht hai kal aur gadai bhik
jis ke meinh ne miTa diye aasar
ju nadi aab-gir hai talab
meinh jo barsa to bhar gae yak-bar
nirKH hai bhaw aur ghalla anaj
sasta arzan hai suq hai bazar
mardum-o-admi bashar insan
fazl-e-bari ke sab hain shukr-guzar
hain kushawarz kast-kar kisan
KHushk-sali se the bahut na-chaar
meinh barasta raha kai din raat
roz-o-shab subh-o-sham lail-o-nahaar
qatra hai bund aur meinh baran
aab pani hai aur bahut bisyar
bunda-bandi yahi tarashshoh hai
jaise hai aaj nannhi nannhi phuwar
kali kali ghaTa hai abr-e-siyah
jo ki barsa rahi hai ye bauchhaar
saya hai chhanw aaftab hai dhup
dekh aaj dhup chhanw ki ye bahaar
(816) Peoples Rate This