Aaghaz-e-ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya
aaghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya
nakaamiyon ke gham mein mera kaam ho gaya
tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adu phire
main paemal-e-gardish-e-ayyam ho gaya
mera nishan miTa to miTa par ye rashk hai
wird-e-zaban-e-KHalq tera nam ho gaya
dil chaak chaak naghma-e-naqus ne kiya
sab para para jama-e-ehram ho gaya
ab aur DhunDiye koi jaulan-gah-e-junun
sahra ba-qadr-e-wusat-e-yak-gam ho gaya
dil pech se na turra-e-pur-KHam ke chhuT saka
baala-rawi se murgh tah-e-dam ho gaya
aur apne haq mein tan-e-taghaful ghazab hua
ghairon se multafit but-e-KHud-kaam ho gaya
tasir-e-jazba kya ho ki dil iztirab mein
taskin-pazir bosa-ba-paigham ho gaya
kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr
wo zid se meri dushman-e-islam ho gaya
allah-re bosa-e-lab-e-mai-gun ki aarzu
main KHak ho ke durd-e-tah-e-jam ho gaya
ab tak bhi hai nazar taraf-e-baam-e-mah-wash
main garche aaftab-e-lab-e-baam ho gaya
ab harf-e-na-saza mein bhi un ko daregh hai
kyun mujh ko zauq-e-lazzat-e-dushnam ho gaya
(890) Peoples Rate This