Sang Aata Hai Koi Jab Mere Sar Ki Jaanib
sang aata hai koi jab mere sar ki jaanib
dekh leta hun samar-bar shajar ki jaanib
is masafat ka koi ant nahin hai lekin
din nikalte hi main chal paDta hun ghar ki jaanib
kis ne aawaz mujhe sahil-e-jaan se di hai
naw kyun dil ki lapakti hai bhanwar ki jaanib
qissa-e-shauq ko us tishna-labi ka likhna
kar ke ek aur safar shahr-e-hunar ki jaanib
phir se angaron ka mausam mere andar utra
phir baDha hath mera lal-o-gohar ki jaanib
ye jo hai surat-e-haalat badal sakti hai
kash kar panw safar KHair se shar ki jaanib
ain mumkin hai ki pathraata na koi 'azmi'
tu ne dekha hi nahin muD ke nagar ki jaanib
(734) Peoples Rate This