Be-sabab Wahshaten Karne Ka Sabab Jaanta Hai
be-sabab wahshaten karne ka sabab jaanta hai
main jo karta hun wo kyun karta hun sab jaanta hai
bolte sab hain magar baat kahan karte hain
ye saliqa to koi mohr-ba-lab jaanta hai
mujh se gustaKH ko wo kaise gawara kar le
jab ki wo shahr-e-suKHan hadd-e-adab jaanta hai
apne hi Dhab se wo karta hai meri chaaragari
kab chamakna hai mera tale-e-shab jaanta hai
kaise mausam mein kahan rahat-e-jaan utrega
aisi sab baaten dil-e-ranj-e-talab jaanta hai
bhul sakta hai use ye dil-e-ayyar magar
chashm-o-abru ka fusun lazzat-e-lab jaanta hai
muskura kar jise milta hun hamesha 'azmi'
ek wahi meri udasi ka sabab jaanta hai
(847) Peoples Rate This