Ba-zahir Rang KHushbu Raushni Yak-jaan Hote Hain
ba-zahir rang KHushbu raushni yak-jaan hote hain
magar ye shahr andar se bahut viran hote hain
koi mane na mane guftugu karti hai KHamoshi
pas-e-diwar-e-hasrat bhi kai tufan hote hain
ulajh jaen to suljhane ko ye umren bhi na-kafi
taaruf ke agarche silsile aasan hote hain
sarabon ki KHabar rakhna gharon ko chhoDne walo
kai ek be-dar-o-diwar bhi zindan hote hain
yahan sari ki sari raunaqen reg-e-rawan se hain
bagule hi to registan ki pahchan hote hain
palaT aane ka rasta aur hi koi banata hai
musafir sab ke sab anjam se anjaan hote hain
to phir aankhon mein sapne ek se kyunkar nahin ugte
lakiron ke agar donon taraf insan hote hain
safar to chalte rahne ki lagan se shart hai 'azmi'
jinhen chalna bahut ho be-sar-o-saman hote hain
(776) Peoples Rate This