Bagule Rahnuma Hain Baad-e-sahrai Safar Mein Hai
bagule rahnuma hain baad-e-sahrai safar mein hai
ruken kaise hamare sath ruswai safar mein hai
KHabar bhi to nahin hai ab kidhar ko ja rahe hain hum
sarabon ka safar hai aabla-pai safar mein hai
ye basti hai ki zindan kuchh bhi to palle nahin paDta
the kab pachhua ke din aur kab se purwai safar mein hai
kahan se aain kanon ke liye rim-jhim si aawazen
jaras ek lafz-e-parina hai shahnai safar mein hai
azal se ta-abad hai kar-farma gardish-e-dauran
ki nadani hazar mein aur danai safar mein hai
use sadiyan lagengi nind se bedar hone mein
abhi aaghaz ka mausam hai angDai safar mein hai
koi aahaT banati hi nahin ummid ka mausam
kuchh aisi chup lagi hai jaise goyai safar mein hai
akele-pan ka 'azmi' ho bhi to ehsas kaise ho
tasalsul se hamari sham-e-tanhai safar mein hai
(771) Peoples Rate This