Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-arai Hoti Hai
ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai
jahan par bhi rahen hum sath mein tanhai hoti hai
fatuhat-e-dil-o-jaan par yun mat itra mere lashkar
ki is maidan mein fil-faur hi paspai hoti hai
ye mela waqt ka hai hath us ke hath mein rakhna
bichhaD jaen yahan to phir kahan yakjai hoti hai
hum aise kuchh bhi kar len un ki tah ko pa nahin sakte
amir-e-shahr ki baaton mein wo gahrai hoti hai
salasat se bayan ahwal-e-dil karna hai ek KHubi
basa-auqat chup rahna bhi to danai hoti hai
zaban-e-KHalq goyai ke gauhar to luTati hai
labon par jo nahin aati wahi sachchai hoti hai
(756) Peoples Rate This