UThae Dosh Pe TariKH-e-hadsat-e-jahan
uThae dosh pe tariKH-e-hadsat-e-jahan
guzar raha hai dayar-e-hayat se insan
bichha raha hai fazaon mein dam-e-kahkashan
tere gudaz badan ka tabassum-e-pinhan
labon pe lakh lagae koi sukut ki mohr
magar KHamoshi na hogi jarahaton ki zaban
bhaDak uThe na kahin phir charagh-e-zaKHm ki lau
sambhal sambhal ke sunao hadis-e-shahr-e-butan
dhuan dhuan si mili hai faza-e-shahr-e-junun
bujhi hai raat gae jab bhi mashal-e-zindan
ye wo jahan hai ki har shahr-e-sang-o-KHisht ke baad
qadam qadam pe hai 'ishrat' dayar-e-shisha-garan
(1050) Peoples Rate This