Tah Mein Har Paikar Ki Ek Paikar Ubharta Hai Tera
tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera
kaun izhaar-e-musalsal rok sakta hai tera
qatl ho jata hai jab suraj dilon ke dasht mein
gahri zulmat mein man shoala lapakta hai tera
naqsh ubharte hain teri KHushbu ke sath-e-KHak par
be-sada gumbad mein bhi tair chahakta hai tera
saghar-e-gul se hazaron rang uchhalte hain tere
ism-e-azam sabz lauhon par chamakta hai tera
taza-dam hai kitni sadiyon ka safar karne ke baad
qafila kab duri-e-manzil se thakta hai tera
lahlahata hai dil-e-ishrat mein roz o shab wo naKHl
jis ke barg o shaKH mein mausam mahakta hai tera
(762) Peoples Rate This