Sahil Pe Samundar Ke Kuchh Der Thahar Jaun
sahil pe samundar ke kuchh der Thahar jaun
mumkin hai ki maujon ke mathe pe ubhar jaun
tapte hue lamhon ko sairab to kar jaun
ek mauj-e-sada ban kar sahra mein bikhar jaun
har sang hai ek shisha har shisha hai ek patthar
ai shahr-e-tilism aaKHir Thahrun ki guzar jaun
lao na ujalon ko is shahr ki sarhad tak
aisa na ho main apne sae se hi Dar jaun
har samt fazaon mein pathraw ka aalam hai
shishe ka badan le kar jaun to kidhar jaun
har sham mere dil mein deta hai sada koi
main Dubte suraj ke hamrah na mar jaun
roke na agar mujh ko is dasht ki tanhai
'ishrat' main hawaon ke paikar mein utar jaun
(819) Peoples Rate This